Mahw-e-nazzara-e-hairat Hai Hawa Pahli Bar

mahw-e-nazzara-e-hairat hai hawa pahli bar

mujh pe darwaza-e-mahtab khula pahli bar

hijr ki shab se bahut dur sar-e-matla-e-shauq

ab ke tanhai mein wo mujh se mila pahli bar

ab na ehsan karen mujh pe ye kali raaten

is andhere mein jala koi diya pahli bar

ab dhanak-rang bahut saf nazar aate hain

apne aaine mein aai hai jila pahli bar

ek haqiqat ne kiya KHwab sa jadu mujh par

aur main der talak sota raha pahli bar

aur phir dasht-e-junun mujh ko bahut yaad aaya

chaak-e-daman jo abhi main ne siya pahli bar

(410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahw-e-nazzara-e-hairat Hai Hawa Pahli Bar In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Mahw-e-nazzara-e-hairat Hai Hawa Pahli Bar is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Mahw-e-nazzara-e-hairat Hai Hawa Pahli Bar for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Mahw-e-nazzara-e-hairat Hai Hawa Pahli Bar in PDF.