Dariya Hain Phir Bhi Milte Nahin Mujhse Yar Log

dariya hain phir bhi milte nahin mujh se yar log

jurat kahan ki sahra se hon ham-kanar log

jadu faza ka tha ki hawa mein mila tha zahr

patthar hue jahan the wahin be-shumar log

ab saya o samar ki tawaqqo kahan ruke

sukhe hue shajar hain sar-e-rahguzar log

dahshat khuli faza ki qayamat se kam na thi

girte hue makanon mein aa baiThe yar log

ek dusre ka haal nahin puchhta koi

ek dusre ki maut pe hain sharmsar log

suraj chaDha to pighli bahut choTiyon ki barf

aandhi chali to ukhDe bahut saya-dar log

(352) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariya Hain Phir Bhi Milte Nahin Mujhse Yar Log In English By Famous Poet Manzar Saleem. Dariya Hain Phir Bhi Milte Nahin Mujhse Yar Log is written by Manzar Saleem. Read famous Poem Dariya Hain Phir Bhi Milte Nahin Mujhse Yar Log for youth and Student by Manzar Saleem. Free Download Dariya Hain Phir Bhi Milte Nahin Mujhse Yar Log in PDF.