Us Chashm-e-fusun-gar Ke Paimane Ki Baaten Hon

us chashm-e-fusun-gar ke paimane ki baaten hon

maiKHane mein baiThe hain maiKHane ki baaten hon

zulf-o-lab-o-ariz ki jannat mein pahunch jaen

us husn-e-mujassam ke kashane ki baaten hon

lauTi hai saba hal kar us jaan-e-bahaaran se

armanon ki kaliyon ke khil jaane ki baaten hon

phir dukhne lage shane bar-e-gham-e-hasti se

phir shane pe zulfon ke lahrane ki baaten hon

phir waqt ke sine ki dhaDkan na sunai de

phir jam ke shishe se Takrane ki baaten hon

is daur-e-haqiqat mein afsana sahi ulfat

kuchh raat kaTe aao afsane ki baaten hon

alfaz se khinchen hum taswir-e-lab-e-shirin

zahr-e-gham duniya ko pi jaane ki baaten hon

(401) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Chashm-e-fusun-gar Ke Paimane Ki Baaten Hon In English By Famous Poet Manzar Saleem. Us Chashm-e-fusun-gar Ke Paimane Ki Baaten Hon is written by Manzar Saleem. Read famous Poem Us Chashm-e-fusun-gar Ke Paimane Ki Baaten Hon for youth and Student by Manzar Saleem. Free Download Us Chashm-e-fusun-gar Ke Paimane Ki Baaten Hon in PDF.