Ek Jaise Nim-jaan Mahaul-o-manzar Dur Tak

ek jaise nim-jaan mahaul-o-manzar dur tak

be-nawa be-nam logon ke samundar dur tak

bas wahi lafzon ki barish ek si har abr se

ek se pyasi zaminon ke muqaddar dur tak

KHak hote aatish-e-ehsas-e-mahrumi se dil

barf-e-mayusi mein jakDe zehn aksar dur tak

zindagi ko naginon ki tarah Dasti goliyan

zahr baDhta phailta andar hi andar dur tak

dur tak kale dhuen mein KHun ki bu tairti

tairti aur marsiye likhti hawa par dur tak

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Jaise Nim-jaan Mahaul-o-manzar Dur Tak In English By Famous Poet Manzar Saleem. Ek Jaise Nim-jaan Mahaul-o-manzar Dur Tak is written by Manzar Saleem. Read famous Poem Ek Jaise Nim-jaan Mahaul-o-manzar Dur Tak for youth and Student by Manzar Saleem. Free Download Ek Jaise Nim-jaan Mahaul-o-manzar Dur Tak in PDF.