KHushi Ke Waqt Se Daur-e-malal Se Guzre

KHushi ke waqt se daur-e-malal se guzre

teri talash mein hadd-e-KHayal se guzre

hamein to asl mein tanha tujhi se milna tha

so ek nazar mein tere KHadd-o-KHal se guzre

bujhe bujhe se hain ghunchon ki zindagi ke charagh

saba se kah do chaman mein KHayal se guzre

tere faqir mohabbat ke ek lamhe mein

hazar bar uruj-o-zawal se guzre

junun ki fitrat-e-ali pe bar hai ai dost

wo bandagi jo maqam-e-sawal se guzre

kahin na daman-e-adab-e-ishq ko chhoDa

firaq hi ki tarah hum visal se guzre

dil-o-nazar ko KHabar tak nahin hui 'maikash'

kuchh is tarah wo hudud-e-KHayal se guzre

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Ke Waqt Se Daur-e-malal Se Guzre In English By Famous Poet Masood Maikash Muradabadi. KHushi Ke Waqt Se Daur-e-malal Se Guzre is written by Masood Maikash Muradabadi. Read famous Poem KHushi Ke Waqt Se Daur-e-malal Se Guzre for youth and Student by Masood Maikash Muradabadi. Free Download KHushi Ke Waqt Se Daur-e-malal Se Guzre in PDF.