Shab-e-firaq Ka Dhoka Kabhi Sahar Ka Fareb

shab-e-firaq ka dhoka kabhi sahar ka fareb

kamal-e-zauq-e-tamasha hai ya nazar ka fareb

mujhe hayat ki sarhad se dur le aaya

giraft-e-hosh se pahle teri nazar ka fareb

ghubar-e-rah mein gum ho gae rahin-e-safar

magar na TuT saka phir bhi rahbar ka fareb

meri hayat teri zulf ki panah mein hai

shikast de na sakega mujhe sahar ka fareb

teri nazar ka karishma nahin to phir kya hai

taghayyuraat-e-zamana ye bahr-o-bar ka fareb

tumhaari anjuman-e-naz tak mujhe laya

meri nigah ka taqaza meri nazar ka fareb

hudud-e-kucha-e-jaanan ke ma-siwa 'maikash'

har ek gam pe milta hai KHair-o-shar ka fareb

(435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-firaq Ka Dhoka Kabhi Sahar Ka Fareb In English By Famous Poet Masood Maikash Muradabadi. Shab-e-firaq Ka Dhoka Kabhi Sahar Ka Fareb is written by Masood Maikash Muradabadi. Read famous Poem Shab-e-firaq Ka Dhoka Kabhi Sahar Ka Fareb for youth and Student by Masood Maikash Muradabadi. Free Download Shab-e-firaq Ka Dhoka Kabhi Sahar Ka Fareb in PDF.