Nigah Kya Aur Mizha Kya Ai Sanam Isko Bhi Usko Bhi

nigah kya aur mizha kya ai sanam is ko bhi us ko bhi

samajhte hain qaza ka tir hum is ko bhi us ko bhi

paDe the dil ke pichhe us ko to ghaarat kiya tum ne

raha ab din o iman lo sanam is ko bhi us ko bhi

agar le mol ek bose pe mera den o iman tu

main de dunga tere sar ki qasam is ko bhi us ko bhi

haqiqat mein tafawut kuchh nahin shaiKH o barahman mein

suna hai hum ne bharte tera dam is ko bhi us ko bhi

gira deta hai aankhon se meri sumbul ho ya nagin

tumhaari kakul-e-pechan ka KHam is ko bhi us ko bhi

kabhi tewari chaDhana aur kabhi munh pher kar hansna

tera aashiq samajhta hai sitam is ko bhi us ko bhi

hamari aabru kya aur dil par hausla kaisa

Dubo dena ari o chashm-e-nam is ko bhi us ko bhi

kiya iqrar bosa dene ka din galiyan tum ne

faqir-e-ishq hun samjha karam is ko bhi us ko bhi

KHat-e-mahbub o pa-e-nama-bar qismat se hath aae

laga aankhon se 'anjum' dam-ba-dam is ko bhi us ko bhi

(344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah Kya Aur Mizha Kya Ai Sanam Isko Bhi Usko Bhi In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Nigah Kya Aur Mizha Kya Ai Sanam Isko Bhi Usko Bhi is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Nigah Kya Aur Mizha Kya Ai Sanam Isko Bhi Usko Bhi for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Nigah Kya Aur Mizha Kya Ai Sanam Isko Bhi Usko Bhi in PDF.