Tujhse Nazar Mila Kar Diwana Ho Gaya Main

tujh se nazar mila kar diwana ho gaya main

kuchh raaz ban gaya kuchh afsana ho gaya main

apne liye bahaya KHun-e-jigar to kya gham

tere liye to rangin afsana ho gaya main

han ab uTha rahe ho diwana-war nazren

jab tum se tang aa kar diwana ho gaya main

ye soch kar ki shayad parwana-war aao

afsurda sa charagh-e-gham-KHana ho gaya main

haT kar ghamon se akasr Thukra diya ghamon ko

akasr ghamon se ghuT kar diwana ho gaya main

teri nazar mein rah kar ek raaz ban gaya tha

gir kar teri nazar se afsana ho gaya main

ek bar aur dekha hasrat se un ki jaanib

phir rafta rafta un se begana ho gaya main

ab to meri KHamoshi sab kah chuki hai tum se

ab to suna-sunaya afsana ho gaya main

hai kal aansuon ka kyun chashm-e-gham mein 'jazbi'

kis rind-e-tishna-lab ka paimana ho gaya main

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhse Nazar Mila Kar Diwana Ho Gaya Main In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Tujhse Nazar Mila Kar Diwana Ho Gaya Main is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Tujhse Nazar Mila Kar Diwana Ho Gaya Main for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Tujhse Nazar Mila Kar Diwana Ho Gaya Main in PDF.