Koi Puchhe Mere Mahtab Se Mere Sitaron Se

koi puchhe mere mahtab se mere sitaron se

chhalakta kyun nahin sailab mein pani kinaron se

mukammal ho to sachchai kahan taqsim hoti hai

ye kahna hai mohabbat ke wafa ke hissa-daron se

Thahar jae dar o diwar par jab tisra mausam

nahin kuchh farq paDta phir KHizaon se bahaaron se

bagule aag ke raqsan rahe ta der sahil par

samundar ka samundar chhup gaya uDte shararon se

meri har baat pas-manzar se kyun mansub hoti hai

mujhe aawaz si aati hai kyun ujDe dayaron se

jahan ta-hadd-e-binai musafir hi musafir hon

nishan qadmon ke miT jate hain aisi rahguzaron se

(1091) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Puchhe Mere Mahtab Se Mere Sitaron Se In English By Famous Poet Yasmeen Hameed. Koi Puchhe Mere Mahtab Se Mere Sitaron Se is written by Yasmeen Hameed. Read famous Poem Koi Puchhe Mere Mahtab Se Mere Sitaron Se for youth and Student by Yasmeen Hameed. Free Download Koi Puchhe Mere Mahtab Se Mere Sitaron Se in PDF.