Tak Raha Hai Tu Aasman Mein Kya

tak raha hai tu aasman mein kya

hai abhi tak kisi uDan mein kya

wo jo ek tujh ko jaan se pyara tha

ab bhi aata hai tere dhyan mein kya

kya nahin hogi phir meri takmil

koi tujh sa nahin jahan mein kya

hum to teri kahani likh aae

tu ne likkha hai imtihan mein kya

ho hi jate hain jab juda donon

phir talluq hai jism-o-jaan mein kya

hum qafas mein hain uDne wale bata

hai wahi lutf aasman mein kya

paDh rahe ho jo itni ghaur se tum

kuchh naya-pan hai dastan mein kya

urdu wale kamal dikhte hain

koi jadu hai is zaban mein kya

(1337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tak Raha Hai Tu Aasman Mein Kya In English By Famous Poet Zia Zameer. Tak Raha Hai Tu Aasman Mein Kya is written by Zia Zameer. Read famous Poem Tak Raha Hai Tu Aasman Mein Kya for youth and Student by Zia Zameer. Free Download Tak Raha Hai Tu Aasman Mein Kya in PDF.