Adab Mein Muddai-e-fan To Be-shumar Mile

adab mein muddai-e-fan to be-shumar mile

magar na 'mir' ke 'ghaalib' ke wirsa-dar mile

junun-e-ishq ko daman to tar tar mila

maza to jab hai gareban bhi tar tar mile

baDe maze se guzari hai zindagi main ne

KHuda ke fazl se haalat sazgar mile

kisi ke dil pe bhala iKHtiyar kya hoga

bahut hai apne hi dil par jo iKHtiyar mile

ye kya sitam hai ki aada to paen hur-o-qusur

jo un ke chahne wale hain un ko dar mile

mere mizaj ko baKHsha hai inkisar agar

ba-qadr-e-zarf tabiat ko inkisar mile

har ek amal pe mukallaf bana ke farmaya

kahin se dekhna daman na dagh-dar mile

mera mazaq hai ikram-e-dostan 'wasfi'

wo dil hi pas nahin jis mein kuchh ghubar mile

(1290) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Adab Mein Muddai-e-fan To Be-shumar Mile In English By Famous Poet Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Adab Mein Muddai-e-fan To Be-shumar Mile is written by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Read famous Poem Adab Mein Muddai-e-fan To Be-shumar Mile for youth and Student by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Free Download Adab Mein Muddai-e-fan To Be-shumar Mile in PDF.