Gham Se Ghabra Ke Kabhi Nala-o-fariyaad Na Kar

gham se ghabra ke kabhi nala-o-fariyaad na kar

izzat-e-nafs kisi haal mein barbaad na kar

dil ye kahta hai ki de inT ka patthar se jawab

jo tujhe bhule use tu bhi kabhi yaad na kar

toD de band-e-qafas kuchh bhi agar himmat hai

ek rihai ke liye minnat-e-sayyaad na kar

apne haalat ko behtar jo banana hai tujhe

ahd-e-rafta ko kabhi bhul ke bhi yaad na kar

haal ko dekh samajh waqt ki qimat ai dost

fikr-e-farda mein kabhi waqt ko barbaad na kar

zindagi banti hai kirdar se kirdar bana

muKHtasar zist ke lamhat ko barbaad na kar

kabhi badla hai na badlega mohabbat ka mizaj

ahl-e-dil hai to kisi dil ko bhi nashad na kar

muddai ilm ka hai jehl-e-murakkab la-raib

qaul faisal hai faramosh ye irshad na kar

(1095) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Se Ghabra Ke Kabhi Nala-o-fariyaad Na Kar In English By Famous Poet Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Gham Se Ghabra Ke Kabhi Nala-o-fariyaad Na Kar is written by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Read famous Poem Gham Se Ghabra Ke Kabhi Nala-o-fariyaad Na Kar for youth and Student by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Free Download Gham Se Ghabra Ke Kabhi Nala-o-fariyaad Na Kar in PDF.