Main Jaanta Hun Kaun Hun Main Aur Kya Hun Main

main jaanta hun kaun hun main aur kya hun main

duniya samajh rahi hai ki ek parsa hun main

ab mujh mein aur tujh mein koi fasla nahin

tu mera muddaa hai tera muddaa hun main

waiz jabin-e-shauq jhuke to kahan jhuke

naqsh-e-qadam hi un ke abhi DhunDhta hun main

dil ko tajalliyat ka markaz bana liya

ab un ka nam lene ke qabil hua hun main

naseh teri nigah mein baada-parast hun

mai-kash samajh rahe hain baDa parsa hun main

fursat mile kashakash-e-duniya se to kahun

kis wahm kis guman mein uljha hua hun main

ahl-e-KHirad ki aql pahunchti nahin jahan

'wasfi' junun mein aisi jagah aa gaya hun main

(1177) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jaanta Hun Kaun Hun Main Aur Kya Hun Main In English By Famous Poet Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Main Jaanta Hun Kaun Hun Main Aur Kya Hun Main is written by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Read famous Poem Main Jaanta Hun Kaun Hun Main Aur Kya Hun Main for youth and Student by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Free Download Main Jaanta Hun Kaun Hun Main Aur Kya Hun Main in PDF.