Koi Nazr-e-gham-e-haalat Na Hone Pae

koi nazr-e-gham-e-haalat na hone pae

aur har baat ho ye baat na hone pae

jo bhi surat hai inayat hai karam hai un ka

raegan un ki ye saughat na hone pae

un ki taswir se har lamha rahe raaz-o-niyaz

muntashir shan-e-KHayalat na hone pae

saKHt dushwar hai pabandi-e-ain-e-wafa

baat to jab hai tujhe mat na hone pae

jaan de dijiye aadab-e-mohabbat ke liye

dekhiye KHami-e-jazbaat na hone pae

bazm mein un ka koi zikr jo aa jata hai

hukm hota hai meri baat na hone pae

husn-e-kirdar se hasti ko saja lo 'wasfi'

zindagi nazr-e-KHurafat na hone pae

(1022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Nazr-e-gham-e-haalat Na Hone Pae In English By Famous Poet Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Koi Nazr-e-gham-e-haalat Na Hone Pae is written by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Read famous Poem Koi Nazr-e-gham-e-haalat Na Hone Pae for youth and Student by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Free Download Koi Nazr-e-gham-e-haalat Na Hone Pae in PDF.