Karte Nahin Jafa Bhi Wo Tark-e-wafa Ke Sath

karte nahin jafa bhi wo tark-e-wafa ke sath

ye kaun sa sitam hai dil-e-mubtala ke sath

ab wo jabin-e-shauq kahin aur kyun jhuke

wabasta ho gai jo tere naqsh-e-pa ke sath

warafta-e-jamal ka aalam na puchhiye

diwana-war uThti hain nazren sada ke sath

surKHi tumhaare hath ki kahti hai saf saf

shamil hai mere dil ka lahu bhi hina ke sath

takmil-e-arzu ki KHushi aur gham-e-hayat

donon hi ibtida se rahe intiha ke sath

shamil meri hayat mein yun hai gham-e-hayat

jaise KHabar ho apne kisi mubtada ke sath

'wasfi' meri hayat ne manzil ko pa liya

kuchh din guzar aaya jo ek parsa ke sath

(1193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karte Nahin Jafa Bhi Wo Tark-e-wafa Ke Sath In English By Famous Poet Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Karte Nahin Jafa Bhi Wo Tark-e-wafa Ke Sath is written by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Read famous Poem Karte Nahin Jafa Bhi Wo Tark-e-wafa Ke Sath for youth and Student by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Free Download Karte Nahin Jafa Bhi Wo Tark-e-wafa Ke Sath in PDF.