Yun Ashk Baraste Hain Mere Dida-e-tar Se

yun ashk baraste hain mere dida-e-tar se

jis tarah se sawan ki ghaTa jhum ke barse

han ashk-e-nadamat jo gire dida-e-tar se

wo daman-e-isyan pe nazar aae guhar se

mahaul to badla hai meri jehd ne akasr

han main nahin badla kabhi mahaul ke Dar se

duniya na kahin mujh ko nigahon se gira de

ab itna gira do na mujhe apni nazar se

dekhe jo koi sada-mizaji to ye samjhe

waqif hi nahin aap kisi aib-o-hunar se

jis rah mein guzri hai mere sar pe qayamat

sau bar to guzra hun usi rahguzar se

is waqt jo guzri hai na puchho use 'wasfi'

Takrai hai jab un ki nazar meri nazar se

(1010) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Ashk Baraste Hain Mere Dida-e-tar Se In English By Famous Poet Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Yun Ashk Baraste Hain Mere Dida-e-tar Se is written by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Read famous Poem Yun Ashk Baraste Hain Mere Dida-e-tar Se for youth and Student by Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi. Free Download Yun Ashk Baraste Hain Mere Dida-e-tar Se in PDF.