Bechain Dil Hai Phir Bhi Chehre Pe Dilkashi Hai

bechain dil hai phir bhi chehre pe dilkashi hai

muflis ki zindagi mein jo kuchh hai qudrati hai

ehsas ka parinda jaga hai mere andar

us ki ata se KHush hun dil mahw-e-bandagi hai

sahraon se to pyase lauTe nahin kabhi hum

dariya ke beach mein hain to pyas lag rahi hai

hum sochte hain akasr kyun hashr sa hai barpa

jazbon mein hai tarawat fikron mein shoalagi hai

mausam ki hi tarah ab insan badal rahe hain

ye faiz-e-agahi hai ya qasd-e-gumrahi hai

kis se kahun main 'ahsan' roz-e-azal se ab tak

kuTiyon mein tirgi hai mahlon mein raushni hai

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bechain Dil Hai Phir Bhi Chehre Pe Dilkashi Hai In English By Famous Poet Ahsan Imam Ahsan. Bechain Dil Hai Phir Bhi Chehre Pe Dilkashi Hai is written by Ahsan Imam Ahsan. Read famous Poem Bechain Dil Hai Phir Bhi Chehre Pe Dilkashi Hai for youth and Student by Ahsan Imam Ahsan. Free Download Bechain Dil Hai Phir Bhi Chehre Pe Dilkashi Hai in PDF.