KHauf-e-jaan Aas-pas Rahta Hai

KHauf-e-jaan aas-pas rahta hai

dil yun hi kab udas rahta hai

dekh kar ab lahu ki arzani

har koi bad-hawas rahta hai

sare insan bichhaD gae to kya

mera gham mere pas rahta hai

jab se dil ko diye hain us ne zaKHm

karb-o-gham aas-pas rahta hai

aadmi ja basega suraj par

aisa bhi kya qayas rahta hai

KHauf-e-dariya use nahin hota

jo samundar-shanas rahta hai

(627) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHauf-e-jaan Aas-pas Rahta Hai In English By Famous Poet Ahsan Imam Ahsan. KHauf-e-jaan Aas-pas Rahta Hai is written by Ahsan Imam Ahsan. Read famous Poem KHauf-e-jaan Aas-pas Rahta Hai for youth and Student by Ahsan Imam Ahsan. Free Download KHauf-e-jaan Aas-pas Rahta Hai in PDF.