KHayal Wo Bhi Mere Zehn Ke Makan Mein Tha

KHayal wo bhi mere zehn ke makan mein tha

jo aaj tak na makin-e-guman ke dhyan mein tha

wo dekhta raha hasrat se aasman ki taraf

chhupa hua wo parinda jo saeban mein tha

zamin pe koi samaat thi muntazir meri

sada ki shakl muallaq main aasman mein tha

mera nasib to KHushiyon ki bhiD mein aksar

charagh ki tarah raushan kisi dukan mein tha

kabhi mujhe bhi to karna paDega samjhauta

bahut dinon se ye KHadsha mere guman mein tha

tere sawal ka kaise jawab deta main

ki jab main khoya hua fikr ki uDan mein tha

wahi to aag lagata phira gulistan mein

jo 'ahsan' ahl-e-chaman mein na baghban mein tha

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal Wo Bhi Mere Zehn Ke Makan Mein Tha In English By Famous Poet Ahsan Imam Ahsan. KHayal Wo Bhi Mere Zehn Ke Makan Mein Tha is written by Ahsan Imam Ahsan. Read famous Poem KHayal Wo Bhi Mere Zehn Ke Makan Mein Tha for youth and Student by Ahsan Imam Ahsan. Free Download KHayal Wo Bhi Mere Zehn Ke Makan Mein Tha in PDF.