Asr-e-hazir Ka Jo Insan Nazar Aata Hai

asr-e-hazir ka jo insan nazar aata hai

bas pareshan pareshan nazar aata hai

nafrat-o-bughz ki masmum hawa aisi chali

kucha-e-jaanan bhi viran nazar aata hai

meri hasti ki imarat bhi gira sakta hai

us ki aankhon mein jo tufan nazar aata hai

zinda insan bhi jalte hain chitaon mein jahan

mulk ye aisa hi shamshan nazar aata hai

hadisa kaisa ye guzra hai ki har su mujh ko

karb-o-azar ka tufan nazar aata hai

is qadar baDh gai saffaki-e-insan 'ahsan'

jis ko dekho wahi haiwan nazar aata hai

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asr-e-hazir Ka Jo Insan Nazar Aata Hai In English By Famous Poet Ahsan Imam Ahsan. Asr-e-hazir Ka Jo Insan Nazar Aata Hai is written by Ahsan Imam Ahsan. Read famous Poem Asr-e-hazir Ka Jo Insan Nazar Aata Hai for youth and Student by Ahsan Imam Ahsan. Free Download Asr-e-hazir Ka Jo Insan Nazar Aata Hai in PDF.