Tujhe Apna Banana Chahta Hun

tujhe apna banana chahta hun

magar KHud ko bhi pana chahta hun

tumhaari yaad ko dil mein basa kar

main sab kuchh bhul jaana chahta hun

zara meri taraf bhi ho tawajjoh

main haal-e-dil sunana chahta hun

jo har insan ko sarshaar kar de

main aisa git gana chahta hun

main Thukra kar jahan ki sari daulat

faqat ab tujh ko pana chahta hun

tumhein KHushiyan ata karne ki KHatir

main apna gham chhupana chahta hun

mohabbat zindagi hai apni 'ahsan'

yahi sab ko batana chahta hun

(1048) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Apna Banana Chahta Hun In English By Famous Poet Ahsan Imam Ahsan. Tujhe Apna Banana Chahta Hun is written by Ahsan Imam Ahsan. Read famous Poem Tujhe Apna Banana Chahta Hun for youth and Student by Ahsan Imam Ahsan. Free Download Tujhe Apna Banana Chahta Hun in PDF.