Jo Faqat ShoKHi-e-tahrir Bhi Ho Sakti Hai

jo faqat shoKHi-e-tahrir bhi ho sakti hai

wo mere panw ki zanjir bhi ho sakti hai

sirf virana hi ghamgini ka bais to nahin

ahd-e-mazi ki wo taswir bhi ho sakti hai

chashm-e-hasrat se jo Tapki hai lahu ki ek bund

subh-e-ummid ki tanwir bhi ho sakti hai

ranj-o-gham Thokaren mayusi ghuTan be-zari

mere KHwabon ki ye tabir bhi ho sakti hai

bad-guman hai to wahi morid-e-ilzam ho kyun

kuchh na kuchh to meri taqsir bhi ho sakti hai

hosh qaem rahen tufan-e-hawadis mein agar

bach nikal jaane ki tadbir bhi ho sakti hai

tirgi baKHt ki samjho na use tum 'aKHtar'

multafit zulf-e-girah-gir bhi ho sakti hai

(640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Faqat ShoKHi-e-tahrir Bhi Ho Sakti Hai In English By Famous Poet Akhtar Shahjahanpuri. Jo Faqat ShoKHi-e-tahrir Bhi Ho Sakti Hai is written by Akhtar Shahjahanpuri. Read famous Poem Jo Faqat ShoKHi-e-tahrir Bhi Ho Sakti Hai for youth and Student by Akhtar Shahjahanpuri. Free Download Jo Faqat ShoKHi-e-tahrir Bhi Ho Sakti Hai in PDF.