Jo Zehn-o-dil Ke Zahrile Bahut Hain

jo zehn-o-dil ke zahrile bahut hain

wahi baaton ke bhi miThe bahut hain

chalo ahl-e-junun ke sath ho len

yahan ahl-e-KHirad saste bahut hain

meri be-chehragi par hansne walo

tumhaare aaine dhundle bahut hain

zara yaadon ke hi patthar uchhaalo

nawah-e-jaan mein sannaTe bahut hain

teri baala-qadi badnam hogi

yahan ke baam-o-dar niche bahut hain

shajar be-saya hain suraj barahna

magar hum azm ke pakke bahut hain

karo ab fath ka elan 'aKHtar'

saron se surKH-ru neze bahut hain

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Zehn-o-dil Ke Zahrile Bahut Hain In English By Famous Poet Akhtar Shahjahanpuri. Jo Zehn-o-dil Ke Zahrile Bahut Hain is written by Akhtar Shahjahanpuri. Read famous Poem Jo Zehn-o-dil Ke Zahrile Bahut Hain for youth and Student by Akhtar Shahjahanpuri. Free Download Jo Zehn-o-dil Ke Zahrile Bahut Hain in PDF.