Jo Qatre Mein Samundar Dekhte Hain
jo qatre mein samundar dekhte hain
tujhe manzar-ba-manzar dekhte hain
qaba-e-dard jab se zeb-e-tan hai
KHushi ko apne andar dekhte hain
chalo amn-o-aman hai mai-kade mein
wahin kuchh pal Thahar kar dekhte hain
kabhi tanhai ne tanha na chhoDa
tamasha phir bhi ghus kar dekhte hain
karam-farmai hai suraj ki ye bhi
use apne barabar dekhte hain
hum apne panw phailaenge 'aKHtar'
kahan tak hai ye chadar dekhte hain
(692) Peoples Rate This