Agar Bulandi Ka Meri Wo Etiraf Kare

agar bulandi ka meri wo e'tiraf kare

to phir zaruri hai aa kar yahan tawaf kare

dilon mein KHwahish-e-didar ho to lazim hai

jo aaina bhi mayassar ho us ko saf kare

rahunga main to hamesha qasida-KHwan us ka

zamin falak se bhala kaise iKHtilaf kare

hisar-e-zat se bahar nikalna ho jis ko

ana ki aahani diwar mein shigaf kare

jahan bhi qadr-shanasi mein kuchh kami dekhe

wahan zaruri hai KHud bhi kuchh inkishaf kare

purane waqton ke kuchh log ab bhi kahte hain

baDa wahi hai jo dushman ko bhi muaf kare

wo mera dost bhi munsif bhi hai magar 'aKHtar'

har ek faisla mere hi kyun KHilaf kare

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Bulandi Ka Meri Wo Etiraf Kare In English By Famous Poet Akhtar Shahjahanpuri. Agar Bulandi Ka Meri Wo Etiraf Kare is written by Akhtar Shahjahanpuri. Read famous Poem Agar Bulandi Ka Meri Wo Etiraf Kare for youth and Student by Akhtar Shahjahanpuri. Free Download Agar Bulandi Ka Meri Wo Etiraf Kare in PDF.