Ahd-e-wafa Ka Qarz Ada Kar Diya Gaya

ahd-e-wafa ka qarz ada kar diya gaya

mahrumiyon ka dard ata kar diya gaya

phulon ke dagh-ha-e-farozan ko dekh kar

arzan kuchh aur rang-e-hina kar diya gaya

waraftgan-e-shauq ka shikwa sune baghair

gulshan supurd-e-ahl-e-jafa kar diya gaya

dil se umang lab se dua chhin li gai

kahne ko qaidiyon ko riha kar diya gaya

yak-do-nafas bhi kar-e-ziyan hum na kar sake

KHushbu ko pairahan se juda kar diya gaya

mangi thi aafiyat ki dua aagahi ka gham

pahle se bhi kuchh aur siwa kar diya gaya

'aKHtar' hawas-garan-e-aqidat ke faiz se

sab kuchh rawa ba-nam-e-KHuda kar diya gaya

(664) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahd-e-wafa Ka Qarz Ada Kar Diya Gaya In English By Famous Poet Akhtar Ziai. Ahd-e-wafa Ka Qarz Ada Kar Diya Gaya is written by Akhtar Ziai. Read famous Poem Ahd-e-wafa Ka Qarz Ada Kar Diya Gaya for youth and Student by Akhtar Ziai. Free Download Ahd-e-wafa Ka Qarz Ada Kar Diya Gaya in PDF.