Dekh Koh-e-na-rasa Ban Kar Bharam Rakkha Tera

dekh koh-e-na-rasa ban kar bharam rakkha tera

main ki tha ek zarra-e-be-tab ai sahra tera

kaun saqi kaisa paimana kahan sahba-e-tez

aabru yun rah gai hai sar mein tha sauda tera

sab gireban si rahe hain sehn-e-gul mein baiTh kar

kaun ab sahra ko jae, hai kahan charcha tera

ab anasir mein tawazun DhunDne jaen kahan

hum jise hamraaz samjhe pasban nikla tera

band darwaze kiye baiThe hain ab ahl-e-junun

taKHtiyan namon ki paDh kar kya kare ruswa tera

dad to ahl-e-murawwat de gae rahat tujhe

sher bhi un ko nazar aaya koi achchha tera

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Koh-e-na-rasa Ban Kar Bharam Rakkha Tera In English By Famous Poet Ameen Rahat Chugtai. Dekh Koh-e-na-rasa Ban Kar Bharam Rakkha Tera is written by Ameen Rahat Chugtai. Read famous Poem Dekh Koh-e-na-rasa Ban Kar Bharam Rakkha Tera for youth and Student by Ameen Rahat Chugtai. Free Download Dekh Koh-e-na-rasa Ban Kar Bharam Rakkha Tera in PDF.