Badli Hui Duniya Ki Nazar Dekh Rahe Hain

badli hui duniya ki nazar dekh rahe hain

phalta hua nafrat ka shajar dekh rahe hain

basti ke sulagte hue ghar dekh rahe hain

dil-doz manazir hain magar dekh rahe hain

wo kar bhi chuke ghair se iqrar-e-mohabbat

hum baiThe duaon mein asar dekh rahe hain

hoti hai har ek phul se gulzar ki zinat

nadan hain jo nasl-e-shajar dekh rahe hain

ek rose na jal jae kahin un ka nasheman

jo dur khaDe raqs-e-sharar dekh rahe hain

manzil ki jinhen dhun thi unhen mil gai manzil

jo baiTh rahe gard-e-safar dekh rahe hain

'afshan' meri aankhon mein basi rahti hai har-dam

wo shakl jise ahl-e-nazar dekh rahe hain

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badli Hui Duniya Ki Nazar Dekh Rahe Hain In English By Famous Poet Arjumand Bano Afshan. Badli Hui Duniya Ki Nazar Dekh Rahe Hain is written by Arjumand Bano Afshan. Read famous Poem Badli Hui Duniya Ki Nazar Dekh Rahe Hain for youth and Student by Arjumand Bano Afshan. Free Download Badli Hui Duniya Ki Nazar Dekh Rahe Hain in PDF.