Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre

ye shahr hai wo shahr ki jis mein hain be-wajh kaamyab chehre

yahan siyasat ki aandhiyon ne miTa diye mahtab chehre

fareb khana na gham uThana na un ke sae mein munh chhupana

hazar kanTe chhupae baiThe hain shoKH rangin gulab chehre

koi bhi hamdam nahin hai sachcha koi bhi sathi nahin hai muKHlis

jinhen tum apna samajh rahe ho wahi hain KHana-KHarab chehre

koi bhi aaina-ru nahin jo sadaqaton ki shabih dikhae

KHushamadon ki naqab ne sab chhupa diye be-naqab chehre

koi naya dard saunp denge koi naya zaKHm Dal denge

kiran kiran hain zahr mein Dube hain zahiran aaftab chehre

jo paDh sako to KHulus paDh lo meri nigahon ki sadgi mein

jahan mein 'afshan' se log kam hain hon jin ke sachchi kitab chehre

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre In English By Famous Poet Arjumand Bano Afshan. Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre is written by Arjumand Bano Afshan. Read famous Poem Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre for youth and Student by Arjumand Bano Afshan. Free Download Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre in PDF.