Suraj Uga To Zindagi Ki Sham Ho Gai

suraj uga to zindagi ki sham ho gai

ab subh-e-nau bhi maut ka paigham ho gai

dil mein sama gain wo zamane ki nafraten

mehr-o-wafa bhi aaKHirash badnam ho gai

insan sare masjid-o-mandir mein baT gae

insaniyat is daur mein nakaam ho gai

zaitun ki jo shaKH uThae tha hath mein

gardan qalam usi ki sar-e-am ho gai

'afshan' kahan se laen wo aslaf ka KHulus

tariKH ki kitab hi nilam ho gai

(674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Uga To Zindagi Ki Sham Ho Gai In English By Famous Poet Arjumand Bano Afshan. Suraj Uga To Zindagi Ki Sham Ho Gai is written by Arjumand Bano Afshan. Read famous Poem Suraj Uga To Zindagi Ki Sham Ho Gai for youth and Student by Arjumand Bano Afshan. Free Download Suraj Uga To Zindagi Ki Sham Ho Gai in PDF.