Kuchh Hisab Ai Sitam Ijad To Kar

kuchh hisab ai sitam ijad to kar

kis qadar zulm kiye yaad to kar

zinda ja sakte hain bahar ki nahin

dekh asiron ko ab aazad to kar

KHak kyun chhan raha hai batla

tha bhi dil pas tere yaad to kar

are munh Dhanp ke rone wale

dam ulaT jaega fariyaad to kar

hae kya hoga bahaar aane tak

qaidi-e-kunj-e-kafas yaad to kar

wo tasalli hi sahi ai sayyaad

kuchh muayyan meri miad to kar

hai tanaffur jo buton se waiz

sifat-e-husn-e-KHuda-dad to kar

ja kabhi najd ki jaanib bhi 'aziz'

ruh-e-majnun ko zara shad to kar

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Hisab Ai Sitam Ijad To Kar In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Kuchh Hisab Ai Sitam Ijad To Kar is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Kuchh Hisab Ai Sitam Ijad To Kar for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Kuchh Hisab Ai Sitam Ijad To Kar in PDF.