Dubne Wale Ko Tinke Ka Sahaara Hai Bahut

Dubne wale ko tinke ka sahaara hai bahut

raat tarik sahi ek sitara hai bahut

dard uThta hai jigar mein kisi tufan ki tarah

tab teri yaadon ke daman ka kinara hai bahut

zulm jis ne kiye wo shaKHs bana hai munsif

zulm par zulm ne mazlum ko mara hai bahut

rah dushwar hai pag pag pe hain kanTe lekin

rah-rau ke liye manzil ka ishaara hai bahut

us ko pane ki tamanna hi rahi jiwan bhar

dur se hum ne masarrat ko nihaara hai bahut

fasle baDhte gae umr bhi Dhalti hi gai

wasl ka KHwab liye waqt guzara hai bahut

honT KHamosh the ek aah bhi hum bhar na sake

barha dil ne magar tum ko pukara hai bahut

jhuTi tarif se lagta hai bahut Dar 'mona'

miThi baaton ne hi shishe mein utara hai bahut

(1087) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dubne Wale Ko Tinke Ka Sahaara Hai Bahut In English By Famous Poet Elizabeth Kurian Mona. Dubne Wale Ko Tinke Ka Sahaara Hai Bahut is written by Elizabeth Kurian Mona. Read famous Poem Dubne Wale Ko Tinke Ka Sahaara Hai Bahut for youth and Student by Elizabeth Kurian Mona. Free Download Dubne Wale Ko Tinke Ka Sahaara Hai Bahut in PDF.