Tum Ho Sharik-e-gham To Mujhe Koi Gham Nahin

tum ho sharik-e-gham to mujhe koi gham nahin

duniya bhi mere waste jannat se kam nahin

chaha hai tujh ko tujh pe luTai hai zindagi

tere alawa kuchh mera din-o-dharam nahin

wo bad-nasib rahat-e-hasti na pa saka

jis pe mere habib ki chashm-e-karam nahin

main banda-e-sanam sahi kafir sahi magar

pae mera maqam kisi mein ye dam nahin

us raste mein sar ko jhukana haram hai

jis raste mein aap ka naqsh-e-qadam nahin

ai aane wale apni jabin ko jhuka kar aa

ye aastan-e-yar hai ku-e-haram nahin

ahl-e-junun ka is liye mashrab juda raha

waqif niyaz-e-ishq se shaiKH-e-haram nahin

munkir rah-e-wafa mein 'fana' kis tarah se ho

mera jahan mein koi wajud-o-adam nahin

(1116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Ho Sharik-e-gham To Mujhe Koi Gham Nahin In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Tum Ho Sharik-e-gham To Mujhe Koi Gham Nahin is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Tum Ho Sharik-e-gham To Mujhe Koi Gham Nahin for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Tum Ho Sharik-e-gham To Mujhe Koi Gham Nahin in PDF.