Kahiye Kya Aur Faisle Ki Baat

kahiye kya aur faisle ki baat

wasl hai ek muamle ki baat

us ke kuche mein lakh sar-gardan

ek yusuf ke qafile ki baat

gesu-e-hur aur zahid bas

zikr-e-kakul hai silsile ki baat

ghair se hum ko rashk-e-sall-e-ala

kahiye kuchh apne hausle ki baat

ek aalam ko kar diya pamal

ye bhi hai koi mashghale ki baat

kya bigaDna unhen nahin aata

sulh bhi hai mujadale ki baat

dekh kya kahte hain KHuda se hum

ek zara hai muqable ki baat

is qadar aur qarib-e-KHatir tu

aql se hai ye fasle ki baat

dawar-e-hashr se bhi haal kaha

nahin rukti kahin gile ki baat

na chale panw aur na sar hi chale

be-sar-o-pa hai aable ki baat

koi mazmun kabhi na pesh aaya

sher mein ki hai phir sile ki baat

ham-nashin arsh hil gaya shab-e-hijr

puchh mat ji ke zalzale ki baat

ai qalaq dil ko soch kar dena

kuchh nahin Thik walwale ki baat

(632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahiye Kya Aur Faisle Ki Baat In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Kahiye Kya Aur Faisle Ki Baat is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Kahiye Kya Aur Faisle Ki Baat for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Kahiye Kya Aur Faisle Ki Baat in PDF.