Hain Aur Kai Ret Ke Tufan Mere Aage

hain aur kai ret ke tufan mere aage

phailega abhi aur bayaban mere aage

bahar nahin koi bhi meri had-e-nazar se

maKHfi hai koi koi numayan mere aage

hasti meri sahra hai sarab us ka muqaddar

aaKHir use hona hai pasheman mere aage

hun mil ke patthar ki tarah rahguzar mein

manzil pe nazar rakhte hain insan mere aage

tai ho na saki duri-e-manzil ye alag hai

har moD pe raushan raha imkan mere aage

kandhe pe mere bojh raha raKHt-e-safar ka

yun nikla kiye be-sar-o-saman mere aage

jo sulh-o-safai mein hain pichhe abhi 'rahi'

rahte hain baham dast-o-gareban mere aage

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Aur Kai Ret Ke Tufan Mere Aage In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Hain Aur Kai Ret Ke Tufan Mere Aage is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Hain Aur Kai Ret Ke Tufan Mere Aage for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Hain Aur Kai Ret Ke Tufan Mere Aage in PDF.