Kuchh Bhi Dushwar Nahin Azm-e-jawan Ke Aage

kuchh bhi dushwar nahin azm-e-jawan ke aage

aashiyan bante gae barq-e-tapan ke aage

zindagi naghma-e-dil-kash hai magar ai nadan

tu ne sikha hi nahin aah-o-fughan ke aage

qissa-e-bazm-e-tarab tazkira-e-mausam-e-gul

KHub hain yun to magar soKHta-jaan ke aage

hum hain aur fasl-e-KHizan fasl-e-KHizan hai aur hum

hum se kya puchhte ho fasl-e-KHizan ke aage

dastaras aql ki hai sarhad-e-idrak sahi

manzilen aur bhi hain wahm-o-guman ke aage

zahmat-e-yak-nigah-e-lutf kabhi to ai dost

hum ko kahna hai bahut lafz-o-bayan ke aage

yun to dozaKH mein bhi hangame bapa hain lekin

phike phike se hain aashob-e-jahan ke aage

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi Dushwar Nahin Azm-e-jawan Ke Aage In English By Famous Poet Habeeb Ahmad Siddiqui. Kuchh Bhi Dushwar Nahin Azm-e-jawan Ke Aage is written by Habeeb Ahmad Siddiqui. Read famous Poem Kuchh Bhi Dushwar Nahin Azm-e-jawan Ke Aage for youth and Student by Habeeb Ahmad Siddiqui. Free Download Kuchh Bhi Dushwar Nahin Azm-e-jawan Ke Aage in PDF.