Is Ka Nahin Hai Gham Koi Jaan Se Agar Guzar Gae

is ka nahin hai gham koi jaan se agar guzar gae

dikh ki andheri qabar par hum bhi charagh dhar gae

shan-o-shikoh kya hue qaisar-o-jam kidhar gae

taKHt ulaT ulaT gae taj bikhar bikhar gae

fikr-e-maash ne sabhi jazbon ko sard kar diya

saDkon pe din guzar gaya ho ke niDhaal ghar gae

tundi-e-sail-e-waqt mein ye bhi hai koi zindagi

subh hui to ji uThe raat hui to mar gae

gard-e-safar mein kho gae aise hazaron rah-rau

rah mein jo Thahar gae aandhiyon se jo Dar gae

aap ka to maqam tha dil ke buland taKHt par

aap ko aaj kya hua dil se mere utar gae

khil ke rahenge dekhna chaar su raushni ke phul

raat ke dasht ki taraf naqsh-gar-e-sahar gae

KHak mein teri mil gai 'faiz' ke jism ki ziya

ab to dayar-e-mahwashan! qarz tamam utar gae

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Ka Nahin Hai Gham Koi Jaan Se Agar Guzar Gae In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Is Ka Nahin Hai Gham Koi Jaan Se Agar Guzar Gae is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Is Ka Nahin Hai Gham Koi Jaan Se Agar Guzar Gae for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Is Ka Nahin Hai Gham Koi Jaan Se Agar Guzar Gae in PDF.