Umr Bhar Bahte Hain Gham Ke Tund-rau Dhaaron Ke Sath

umr bhar bahte hain gham ke tund-rau dhaaron ke sath

jaane kyun hote hain itne zulm fankaron ke sath

abr ki surat baraste hain buland-o-past par

hum nahin aansu bahate lag ke diwaron ke sath

zehn ke parde pe raqsinda hain pyasi suraten

hum nashe mein kaise bah sakte hain mai-KHwaron ke sath

roz KHun-e-arzu hota hai phir bhi pyar hai

hum ko ai hasti tere dilchasp bazaron ke sath

ham-safar hai KHak-o-baad-o-atish-o-ab ai 'hazin'

kash nibh jae hamari ab inhi chaaron ke sath

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Bhar Bahte Hain Gham Ke Tund-rau Dhaaron Ke Sath In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Umr Bhar Bahte Hain Gham Ke Tund-rau Dhaaron Ke Sath is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Umr Bhar Bahte Hain Gham Ke Tund-rau Dhaaron Ke Sath for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Umr Bhar Bahte Hain Gham Ke Tund-rau Dhaaron Ke Sath in PDF.