Ghair-nisabi TariKH

shahi darbar main KHadim-e-KHas ka elan

taKHliya

raqs-e-junun-KHez pe nau-KHez badan

shahr main aadam-e-KHaki kai lahu ki qimat

dene aae hain mahaaraj ke maiKHane main

rang aur nur ki barsat ke beach

kaun dekhega be-sar ki lashen

nau-badan jam-e-tahayyur ka naya zaiqa hain

jan pe do-laKHt kiye jate hain mulkon ke badan

shahi darbar mein mahaaraj ka elan

sahibo

dhund ki tahzib ka parchaar karo

jin par nare hain likhe ghar wo tah-e-KHak karo

shahr mein gunje faqat naghma-e-tausif-e-riya

hurmat-e-harf ho paband-e-shikoh-e-aiwan

zikr mat ho kahin jalte hue KHiyam ka bas

sirf tariKH main chamke mera farman-e-shahi

shahi darbar mein wazir-e-ba-tadbir ka mashwara

taKHliya

sahibo ye waqt hai sarshaari ka

faisle kal pe uTha rakhte hain mustaqbil ke

is samay shahr mein barpa karo jadu koi

log masruf rahen waqt guzar jae bas

KHak ho jaengi sadiyan yunhi qadmon ke tale

shahi darbar mein mahaaraj ka muKHbir-e-KHas ko hukm

lahn-e-salar bata haal zamane ka mujhe

us mein bas mujh ko bata meri KHabar ki babat

mat suna KHasta zamanon ki shikasta baaten

lafz likh mere liye nok-e-qalam se aur phir

shahar-bhar mein yahi tariKH munadi kar de

waqt ke sare moarriKH karen baiat us ki

phul par KHun nahin tha wo nam-e-shabnam tha

ek KHamosh riyazat thi ajal ka chakkar

be-badan KHwab the tahzib ka nau-rafta-mizaj

shahi darbar se bahar reaya ka mizaj

dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar

rizq malta rahe ranai ka aankhon ko yunhi

yun hi baTti rahe KHairaat-e-kafan gard-e-yaqin

yun hi milti rahe qabron ke liye muft zamin

dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar

(974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghair-nisabi TariKH In English By Famous Poet Iliyas Babar Aawan. Ghair-nisabi TariKH is written by Iliyas Babar Aawan. Read famous Poem Ghair-nisabi TariKH for youth and Student by Iliyas Babar Aawan. Free Download Ghair-nisabi TariKH in PDF.