ChheDne Ka To Maza Jab Hai Kaho Aur Suno

chheDne ka to maza jab hai kaho aur suno

baat mein tum to KHafa ho gae lo aur suno

tum kahoge jise kuchh kyun na kahega tum ko

chhoD dega wo bhala dekhiye to aur suno

ye bhi insaf hai kuchh socho to apne dil mein

tum to sau kah lo meri kuchh na suno aur suno

ab to kuchh itne KHafa ho ki kaho ho mujh se

hai qasam tum ko mera nam na lo aur suno

arz-e-ahwal mera sun ke jhiDak kar bole

jaw, re waw zabar rau ho, chalo aur suno

chal ke do ek qadam dekhte phir ho yun ko

galiyan sun to chuke chahte ho aur suno

aap hi aap mujhe chheDo ruko phir aaphi

aap hi baat mein phir ruTh raho aur suno

aafrin in na yahi chahiye shabash tumhein

dekh rota mujhe yun hansne lago aur suno

baat meri jo nahin sunte akele mil ke

aise hai Dhab se sunaun ki suno aur suno

shikwa-mand aap se 'insha' ho so us ka kya daKHl

tum na mano to kahin chupke chhupo aur suno

(999) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChheDne Ka To Maza Jab Hai Kaho Aur Suno In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. ChheDne Ka To Maza Jab Hai Kaho Aur Suno is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem ChheDne Ka To Maza Jab Hai Kaho Aur Suno for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download ChheDne Ka To Maza Jab Hai Kaho Aur Suno in PDF.