Na To Kaam Rakhiye Shikar Se Na To Dil Lagaiye Sair Se

na to kaam rakhiye shikar se na to dil lagaiye sair se

bas ab aage hazrat-e-ishq-ji chale jaiye ghar hi ko KHair se

wo jo guTka pare ka munh mein le paDe uDte phirte hain jogi-ji

so to bhartpur se udas ho chale aae qila-e-dair se

nahin hote aam ke ru-ba-ru hamein qibla KHas hai aarzu

ki KHuda kare paDe guftugu kisi pir-o-murshid-e-dair se

kaho kis wasile se shaiKH ke shak-o-shubh howe kamal mein

ki jo neamat aap ko pahunchi hai so miyan-ghulam-zubair se

jo KHafa hue to hue aji jo laDe-bhiDe to laDe sahi

gila hai so yar-e-aziz se na ki shikwa surat-e-ghair se

mujhe ek hayat dobara de usi qudrat apni se ai KHuda

ki KHitab-e-fiqra-e-kam-libast kiya tha jin ne uzair se

wo jo hai ali-e-wali wasi hai mohammad-e-arabi aKHi

so tu abd-e-KHas-e-karim hai use dushmani hai nusair se

yahi chaal apni hai 'insha' ab kabhi to daraKHton se KHalte hain

kabhi hai saba se KHitab kuchh kabhi wahsh se kabhi tair se

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na To Kaam Rakhiye Shikar Se Na To Dil Lagaiye Sair Se In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Na To Kaam Rakhiye Shikar Se Na To Dil Lagaiye Sair Se is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Na To Kaam Rakhiye Shikar Se Na To Dil Lagaiye Sair Se for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Na To Kaam Rakhiye Shikar Se Na To Dil Lagaiye Sair Se in PDF.