Tumhaare Hathon Ki Ungliyon Ki Ye Dekho Poren Ghulam Tison

tumhaare hathon ki ungliyon ki ye dekho poren ghulam tison

gharaz ki ghash hai agar na mano to jhaT uTha le kalam tison

imam bara buruj bara anasir-o-jism-o-ruh ai dil

yahi to sarkar-e-haq-taala ki hain mudar-ul-maham tison

nahin ajaib kuchh aankh hi mein rutubaten tin sat parde

oqul das mudrikat das hain so karte rahte hain kaam tison

ulum chaudah maqula das aur jihat sitta banae us ne

umur-e-duniya ko taki pahunchaen KHub sa insiram tison

balaen kali hain us pari bin ye tison raaten kuchh aisi 'insha'

ki har mahine ke din bhi jin ko kare hain jhuk kar salam tison

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Hathon Ki Ungliyon Ki Ye Dekho Poren Ghulam Tison In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Tumhaare Hathon Ki Ungliyon Ki Ye Dekho Poren Ghulam Tison is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Tumhaare Hathon Ki Ungliyon Ki Ye Dekho Poren Ghulam Tison for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Tumhaare Hathon Ki Ungliyon Ki Ye Dekho Poren Ghulam Tison in PDF.