PakDi Kisi Se Jawe Nasim Aur Saba Bandhe

pakDi kisi se jawe nasim aur saba bandhe

maula kare kuchh apni bhi ab to hawa bandhe

aashiq ko bogh-band mein bandha hai us ne yun

ta ho ke dast-e-buqcha mein jaise qaba bandhe

yun dud aah ka meri gumbad bandha hai yan

chhat jaise abr-e-tira ki tahtassama bandhe

Tuk aalam ai junun tu dikha wo ki jis se saf

lahut ka saman meri aaankhon mein aa bandhe

sarma ghula ke aaankhon mein nikla na kijiye

aisa na ho ki aap pe kuchh tutiya bandhe

qudrat KHuda ke dekho ki chori to hum karen

aur ulTe dast-gir ho duzd-e-hina bandhe

aljheDe mein phanse the teri zulf ke so wo

ulTe Tange asir hue barha bandhe

'insha' sad-afrin tere zehn-e-salim ko

mazmun ziyaada is se bhala aur kya bandhe

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PakDi Kisi Se Jawe Nasim Aur Saba Bandhe In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. PakDi Kisi Se Jawe Nasim Aur Saba Bandhe is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem PakDi Kisi Se Jawe Nasim Aur Saba Bandhe for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download PakDi Kisi Se Jawe Nasim Aur Saba Bandhe in PDF.