KHud-ba-KHud Mai Hai Ki Shishe Mein Bhari Aawe Hai

KHud-ba-KHud mai hai ki shishe mein bhari aawe hai

kis bala ki tumhein jadu-nazari aawe hai

dil mein dar aawe hai har subh koi yaad aise

jun dabe-panw nasim-e-sahari aawe hai

aur bhi zaKHm hue jate hain gahre dil ke

hum to samjhe the tumhein chaaragari aawe hai

ek qatra bhi lahu jab na rahe sine mein

tab kahin ishq mein kuchh be-jigari aawe hai

chaak-e-daman-o-gireban ke bhi aadab hain kuchh

har diwane ko kahan jama-dari aawe hai

shajar-e-ishq to mange hai lahu ke aansu

tab kahin ja ke koi shaKH hari aawe hai

tu kabhi rag kabhi rang kabhi KHushbu hai

kaisi kaisi na tujhe ishwa-gari aawe hai

aap-apne ko bhulana koi aasan nahin

baDi mushkil se miyan be-KHabari aawe hai

ai mere shahr-e-nigaran tera kya haal hua

chappe chappe pe mere aankh bhari aawe hai

sahibo husn ki pahchan koi khel nahin

dil lahu ho to kahin dida-wari aawe hai

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud-ba-KHud Mai Hai Ki Shishe Mein Bhari Aawe Hai In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. KHud-ba-KHud Mai Hai Ki Shishe Mein Bhari Aawe Hai is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem KHud-ba-KHud Mai Hai Ki Shishe Mein Bhari Aawe Hai for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download KHud-ba-KHud Mai Hai Ki Shishe Mein Bhari Aawe Hai in PDF.