Baghair Uske Ye Hairan Hain Baghal Dekh Apni Khaali Hum

baghair us ke ye hairan hain baghal dekh apni KHali hum

ki karwaT le nahin sakte hain jun taswir-e-qali hum

koi aatish ka parkala jo waqt-e-KHwab yaad aawe

to samjhen kyun na angare ye gul-ha-e-nihaali hum

irada gar kiya dushnam dene ka ab ai pyare

to lab se lab mila kar bas teri kha lenge gali hum

na ho pahlu mein apne jab wo sabza rang hi zalim

to phir kis rang kaTen ye bala se raat kali hum

laDi hai aankh us se jo ye chitwan mein jatata hai

kisi ki kya hamein parwa hain apne la-ubaali hum

na ho wo sim-tan pas apne jab sair-e-shab-e-mah mein

karen to dekh kya bas ek pital ki si thaali hum

jo ho dur-az-KHayal-e-'mani'-o-'bahzad' har surat

baghair-az-mu-qalam khinchin wo taswir-e-KHyali hum

karen wasf-e-jamal-e-yar mein ek sher gar mauzun

to samjhen intiKHab-e-jumla asha-e-jamali hum

ba-kunj-e-be-kasi paDhte hain jo hum marsiya dil ka

to hain aap hi jawabi aur aap hi hain sawali hum

wo Duba itr mein ho mast-e-mai masruf-e-sair-e-gul

aur us ko is rawish dekhen darun-e-bagh-e-KHali hum

gul-e-ummid to shayad ki apna bhi shagufta ho

tajjub kuchh nahin gar paen phal pate sahaali hum

zi-bas haalat-e-ishq ab hum pe tari hai sada 'jurat'

ba-tarz-e-ashiqana kahte hain ashaar-e-'haali' hum

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baghair Uske Ye Hairan Hain Baghal Dekh Apni Khaali Hum In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Baghair Uske Ye Hairan Hain Baghal Dekh Apni Khaali Hum is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Baghair Uske Ye Hairan Hain Baghal Dekh Apni Khaali Hum for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Baghair Uske Ye Hairan Hain Baghal Dekh Apni Khaali Hum in PDF.