Tha Bahut Shor Yahan Ek Zamane Mein Mera

tha bahut shor yahan ek zamane mein mera

ab koi aks nahin aaina-KHane mein mera

rah se aankh milane ka hunar jaan gaya

waqt to sarf hua KHak uDane mein mera

apni yakjai se tanhai se pura na hua

jitna nuqsan hua shahr basane mein mera

jaanta hun ki use meri zarurat hi nahin

warna kya jata bhala lauT ke aane mein mera

dad kya kya na harifon se mujhe milti rahi

han magar ji na laga sher sunane mein mera

koi tazir ki main ne bhi mohabbat ki hai

kuchh to hissa hai ye tahrik chalane mein mera

apne kirdar se insaf kiya hai main ne

aur kirdar nahin koi fasane mein mera

(662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Bahut Shor Yahan Ek Zamane Mein Mera In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Tha Bahut Shor Yahan Ek Zamane Mein Mera is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Tha Bahut Shor Yahan Ek Zamane Mein Mera for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Tha Bahut Shor Yahan Ek Zamane Mein Mera in PDF.