Jabin Pe Gard-e-kudurat Mera Usul Nahin

jabin pe gard-e-kudurat mera usul nahin

jafa-e-ahl-e-zamana pe dil malul nahin

meri KHudi to khaTakti thi teri aankhon mein

tere huzur mera ijz bhi qubul nahin

ye bikhre tare ye be-nazm phul shahid hain

numud-e-husn mein pabandi-e-usul nahin

zarur kuchh to hai apni hayat ka maqsad

suna hai chiz koi dahr mein fuzul nahin

mere waqar pe tere karam pe harf aata

maqam-e-shukr hai meri dua qubul nahin

mere ghubar se daman-kashan ho kyun yaro

chaman ki bu-e-pareshan hun ban ki dhul nahin

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabin Pe Gard-e-kudurat Mera Usul Nahin In English By Famous Poet Manzoor Ahmad Manzoor. Jabin Pe Gard-e-kudurat Mera Usul Nahin is written by Manzoor Ahmad Manzoor. Read famous Poem Jabin Pe Gard-e-kudurat Mera Usul Nahin for youth and Student by Manzoor Ahmad Manzoor. Free Download Jabin Pe Gard-e-kudurat Mera Usul Nahin in PDF.