Madd-e-nazar Nahin Hai Faqat Mehrban Ki KHair

madd-e-nazar nahin hai faqat mehrban ki KHair

shamil meri dua mein dil-e-dushmanan ki KHair

fursat mile to apni zamin ki KHabar bhi le

ai rabb-e-zul-jalal tere aasman ki KHair

josh-e-junun mein pesh-e-nazar maslahat bhi thi

sajde kiye hain mang ke us aastan ki KHair

har ins-o-jaan ne aankh kaDe waqt pher li

hum the ki mangte rahe har ins-o-jaan ki KHair

yaKH-bar sard-mehri-e-insan se kaenat

is arz-e-zamharir mein qalb-e-tapan ki KHair

insan ka hath un ki taraf bhi daraaz hai

pakizgi-e-husn-e-mah-o-kahkashan ki KHair

TuTa hai dil jarahat-e-chaara-garan ka shukr

TuTa hai jam niyyat-e-shisha-garan ki KHair

ye shaKH-e-sar-barahna ye jhakkaD ye raqs-e-barq

'manzur' KHair KHair tere aashiyan ki KHair

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Madd-e-nazar Nahin Hai Faqat Mehrban Ki KHair In English By Famous Poet Manzoor Ahmad Manzoor. Madd-e-nazar Nahin Hai Faqat Mehrban Ki KHair is written by Manzoor Ahmad Manzoor. Read famous Poem Madd-e-nazar Nahin Hai Faqat Mehrban Ki KHair for youth and Student by Manzoor Ahmad Manzoor. Free Download Madd-e-nazar Nahin Hai Faqat Mehrban Ki KHair in PDF.