Kaif-e-ada Bhi Hai Nigah-e-pur-fitan Ke Sath

kaif-e-ada bhi hai nigah-e-pur-fitan ke sath

lagti hai dil pe choT magar bankpan ke sath

KHunki hai chandni mein tamazat hai dhup mein

tashbih kis ko den tere nur-e-badan ke sath

sar de ke surKH-ru the kabhi bandagan-e-ishq

rasm-e-kohan thi KHatm hui kohkan ke sath

ek maslahat ki mohr hai lab par lagi hui

warna hazar shikwe hain ahl-e-watan ke sath

wo sher-e-naghz kyun na ho juzw-e-rag-e-hayat

kuchh fikr ka rachaw bhi jis mein ho fan ke sath

(384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaif-e-ada Bhi Hai Nigah-e-pur-fitan Ke Sath In English By Famous Poet Manzoor Ahmad Manzoor. Kaif-e-ada Bhi Hai Nigah-e-pur-fitan Ke Sath is written by Manzoor Ahmad Manzoor. Read famous Poem Kaif-e-ada Bhi Hai Nigah-e-pur-fitan Ke Sath for youth and Student by Manzoor Ahmad Manzoor. Free Download Kaif-e-ada Bhi Hai Nigah-e-pur-fitan Ke Sath in PDF.