Qamar Bhi Dur Na Tha Kahkashan Buland Na Thi

qamar bhi dur na tha kahkashan buland na thi

hamin ko farsh se duri magar pasand na thi

zara si aatish-e-gham se chaTaKH ke bujh jati

meri hayat-e-junun dana-e-sipand na thi

lahu zamin ke shagafon se be-sabab phuTa

falak ki aankh abhi mail-e-gazand na thi

yahi ki pas tha taqdis-e-baam ka warna

talab ke hath mein kya shauq ki kamand na thi

hamare haal pe ahl-e-jahan ke honTon par

hansi na thi koi aisi jo zahr-KHand na thi

shaguft-e-gul ki sada ho ki girya-e-shabnam

jahan mein kaun si aawaz thi jo pand na thi

fareb de gai aalam ko KHu-e-tanhai

mere junun ki tabiat to KHud-pasand na thi

ziyan tha naz mata-e-hunar pe ai 'manzur'

ye chiz chashm-e-zamana mein arjumand na thi

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qamar Bhi Dur Na Tha Kahkashan Buland Na Thi In English By Famous Poet Manzoor Ahmad Manzoor. Qamar Bhi Dur Na Tha Kahkashan Buland Na Thi is written by Manzoor Ahmad Manzoor. Read famous Poem Qamar Bhi Dur Na Tha Kahkashan Buland Na Thi for youth and Student by Manzoor Ahmad Manzoor. Free Download Qamar Bhi Dur Na Tha Kahkashan Buland Na Thi in PDF.